Krishna Spirit
Friday, 30 August 2013
Thursday, 29 August 2013
Monday, 26 August 2013
First chapter of geeta
First chapter
sri parvati ji ne kaha -- bhagvan ! aap sab tatvo ke gyata ho |aapki krapa se mujhe sri vishnu sambhandhi nana prakar ke dharm sunne ko mile , jo samst lok ka udhar karne wale hai | Devesh aab mai gita ka mahatmay sunna chahti hu , jiska shravan karne se sri hari mai bhakti badti hai .
sri mahadevji bole -- jinka srivigrah alsi ke phool ki bhanti shyam varna ka hai ,pakshi raj garun hi jinke vahan hai ,jo apni mahima se kabhi chyut nahi hote tatha seshnag ki shayaa par shayan karte hai un bhagvan vishnu ki hum upasana karte hai. ek samay ki baat hai mur datya ke nashak bhagvan vishnu seshnag ke ramniya aasan par sukhpurvak virajman the , us samay samast loko ko anand dene wali bhagwati lakshmi ne aadarpurvak prashn kiya
sri lakshmi ji ne pucha -- bhagvan! aap sampurna jagat ka palan karte hue bhi apne aishwarya ke prati udasin se hokar jo iis shirsagar mai neend le rahe hai ,iska kya karan hai?
sri bhagavan bole -- sumukhi! mai neend nahi leta hu, apitu tatva ka anusaran karne wali aantardrashti ke dwara apne hi maheshwar tej ka sakshatkar kar raha hu | devi yeh wahi tej hai ,jiska yogi purush kushagra budhi ke dwara apne aantah: karan mai darshan karte hai tatha jise mimansak vidwan vedo ka sar tatva nishchit karte hai | vah maheshwar tej ek, ajar,prakashswaroop ,aatm roop rogshok se rahit .akhand anand ka punj ,nishpand(nirih) tatha dwatrahit hai |is jagat ka jeevan usi ke adhin hai |mai usi ka anubhav karta hu .Deveshwari ! yahi karan hai ki mai tumhe neend leta -sa pratit ho raha hu.
sri lakshmi ji ne kaha --- harishikesh! aap hi yogi purusho ke dhyay hai. aapke atirikt bhi koi dhyan karne yogya Tatva hai ,yeh jankar mujhe bada kotuhul ho raha hai .is charachar jagat ki srashti aur sanghar karne wale savyam aap hi hai aap sarva samarth hai is prakar ki istithi mai hokar bhi yadi aap us param tatva se bhiin hai to mujhe uska bodh karayie
sri bhagvan bole-- priye! aatma ka swaroop dwat aur adwat se prathak bhav aur abhav se mukt tatha aadi aur aant se rahit hai sudh gyan ke prakash se uplabadh honewala tatha parmanandswaroop hone ke karan ekmatra sundar hai ,wahi mera ishwariya roop hai ,aatma ka eketav hi sabke dwara jannene yogya hai .geeta shastra mai isi ka pratipadan hua hai
amit tejasvi bhagwan vishnu ke ye vachan sunkar lakshmi evi ne shanka upastit karte hue kaha --- bhagwan! yadi aapka swaroop swayam parmanandmay aur man vani ki pahuch ke bahar hai to geeta kase uska bodh karati hai ? mere is sandeh ka aap nivaran kijiye
sri bhagwan bole -- sundari ! suno,mai geeta mai apni isthiti ka varna karta hu kramshah paanch adhyayu ko tum panch mukh jano ,das adyayu ko das bhujaye samjho tatha ek adyay ko udar aur do adhyayo ko dono charan kamal jano iis prakar yeh adarah adhyayu ki wangmayi ishwariy murti hi samajhni chahiye .yeh gyan matr se hi mahan patko ka nash karne wali hai jo utaam budhi wala purush geeta ke ek ya aadhe adhyay ka athva ek ,aadhe ya chauthai shlok ka bhi pratidin abhyas karta hai ,vah susharma ke saman mukt ho jata hai
sri lakshmi ji ne pucha -- dev! susharma kaun tha ? kis jati ka tha aur kis karan se uski mukti hui?
sri bhagvan bole -- priye! susharma badi khoti budhi ka manushya tha | papiyo ka to vah shiromani hi tha ,uska janm vadik gyan se shunya avam krurta purn kam karne wale brahmano ke kul mai hua tha vah na dhyan karta tha ,na jap;na home karta tha ,na athitiyo ka satkar ,vah lampat hone ke karan sada vishyu ke sevan mai hi aasakt rheta tha hal jotta aur patte bechkar jivika chalata tha ,use madira peene ka vyasan tha tatha vah maans bhi khaya karta tha is prakar usne apne jeevan ka dirghakal vyatit kae diya ek din mudh budhi susharma patte lane ke liye kisi rishi ki vatika mai ghum raha tha isi bich kalroopdhari kale saap ne use das liya susharma ki mratyu ho gayi tadantar wah anek narko mai ja waha ki yatnaye bhogkar martyalok mai laut aaya aur wahabojh dhone wala bail hua .us samay kisi pangu ne apne jeevan ko aaram se vyatit karne ke liye use kharid liya bail ne apni peeth par pangu ka bhar dhote hue bade kasht sesat aad varsh bitayeek din pangu ne kisi uche stan parbhut dertak badi teji ke sath us bail ko ghumaya isse wah takkarbade veg se prativi pargira aur murshit ho gaya us samay waha kutuhul vash aakrast ho bhut se log ekatrit ho gaye us jansamuday mai sekisi punyatma vyakti ne us bail ka kalyan karne ke liye useapna punyadan kiya tatpaschat kuch dusre logo ne bhi apna apne punyu ko yaadkarke bhi unhe uske liye dan kiya
tadantar yamraj ke doot usmare hue prani ko phele yampuri mai le gaye waha yeh vicharkar ki yeh vaishya ke diye hue punya se punyawan ho gaya hai use chood diya gaya phir wah bhulok mai aakar utam kul aur shilwale bramano ke ghar mai utpaan hua us samay bhi use apne purva janm ki bato ka smaran bana raha bhut dino ke bad apne agyan ko dur karne wale kalyan tatva ka jigyasu hokar wah us vishya ke paas gaya aur uske dan ki baat batlate hue usne pucha tumne kaun sa punyadan kiya tha ? vaishya ne utar diya vah pinjare mai baitha hua tota pratidin kuch padta hai usse mera anahkaran pavitra ho gaya usi ka punya maine tumhare liye dan kiya tha iske bad un don ne tote se pucha . tab us tote ne apne purva janm ka smaran karke prachin itihas kehna arambh kiya
suk bola -- purvjanm mai vidvan hokar bhi vidta ke abhiman se mohit rehta tha mera ragdesh itna badh gaya tha ki mai gunvan vidvano ke prati bhi irshyabhav rakhnelaga phirsamaynusar meri mratyu ho gayi aur mai aneko gradit loko mai bhatakta phira uske bad is lok mai aya sadguru ki atyant ninda karne ke karan tote ke kul mai mera janm hua papi hone ke karan choti avastha mai hi mera mata pita se viyug ho gaya ek din mai grishm ritu mai tape hue marg par pada tha waha se kuch srestha muni mujhe utha laye aur mahatmaoo ke aashray mai ashram ke bhitar ek pinjare mai unhone mujhe dal diya wahi mujhe padhaya gaya rishiyo ke balak bade aadar ke sath gita ke pratham adyay ki aavrati karte the unhi se sunkar mai bhi barambar pad karne laga isi bich mai ek chori karne wale baheliye ne mujhe waha se chura liya tatpaschat is devi ne mujhe kharid liya yahi mera vratant hai jise maine aap logo se bata diya purvakal mai maine is pratham adyay ka abhyas kiya tha jisse maine apne pap ko dur kiya hai phir usi se is vaishya ka bhi anahkaran shudh hua hai aur usi ki punya se ye divzsrestha susharma bhi papmukt hue hai
is prakar paraspar vartalap aur gita ke pratham adhyay ke mahatmay ki prashansha karke ve teeno nirantar apne apne ghar par gita ka abyaskarne lage phir gyan prapt karke ve mukt ho gaye isliye jo gita ke prataham adhyay ko padta sunta taha abhyaskarta hai use is bhavsagar ko par karne mai koi kathinai nahi hoti!!

Labels: First chapter of geeta
.jpg)
.jpg)
.jpg)